Seema Naqvi

ek bas tu nahin milta hai mujhe khone ko

Seema Naqvi

Pakistan

ek bas tū nahīñ miltā hai mujhe khone ko
varna kyā kuchh nahīñ hotā hai yahāñ hone ko
dekh bedard zamāne kī zabūñ-hālī dekh
ek shāna nahīñ miltā hai jahāñ rone ko
rāt-bhar ḳhud se gale mil ke bahut rotī huuñ
jhūTe muñh bhī nahīñ kahtā hai koī sone ko
kitnī mailī hai havasnāk nigāhoñ kī chamak
ki samundar bhī bahut kam hai jise dhone ko
is ko bhī hijr kā tāvān to bharnā hogā
koī dam meñ hai mukāfāt-e-amal hone ko
merī āvāz bhī mujh tak nahīñ pahuñchegī jahāñ
maiñ ne apne liye rakkhā hai isī kone ko
kaise vīrān haiñ patthar se bhare khet mire
hal chalāne ko nahīñ biij nahīñ bone ko
koī kis tarah mire haal se vāqif hotā
merī āñkhoñ meñ koī ashk na thā rone ko
kho ga.e ḳhvāb to aisī bhī baḌī baat nahīñ
maiñ ne baaqī hī kahāñ chhoḌā hai kuchh khone ko
āsmānoñ meñ kise DhūñD rahī huuñ 'sīmā'
vo to baiThā hai mire dil meñ ḳhudā hone ko
Top Urdushayar.com