ek manzar meñ ka.ī baar use dekh ke dekh
dekhnā hai to lagātār use dekh ke dekh
koī sūraj se milā paatā hai kab tak āñkheñ
phir bhī ik baar lagātār use dekh ke dekh
ye khulī aañkh kā manzar hī nahīñ hai mirī jaañ
band āñkhoñ se bhī ik baar use dekh ke dekh
barf āñkhoñ meñ liye duur khaḌe shaḳhs kī ḳhair
kaise jalne lage ruḳhsār use dekh ke dekh
koī dālān se jugnū na idhar aa nikle
ḳhvāb ho jaa.eñ na bedār use dekh ke dekh
dekhte dekhte kyā kuchh nazar aane lag jaa.e
ā.īna-ḳhāne ke us paar use dekh ke dekh
hai yaqīñ chaal sitāroñ kī badal jā.egī
ek din sub.h kā aḳhbār use dekh ke dekh
lab haiñ jis naam kī tasbīh use sun ke tū sun
aañkh jis kī hai talabgār use dekh ke dekh
gard tanhā.ī kī ab chhoḌ uḌānā 'sīmā'
jheñpte haiñ dar-o-dīvār use dekh ke dekh