Waqar Bijnori

rah-e-kahkashan se guzar gaya hama-in-o-an se guzar gaya

Waqar Bijnori

Bijnor, Uttar pradesh, India

1906
rah-e-kahkashāñ se guzar gayā hama-īn-o-āñ se guzar gayā
koī bazm-e-nāz-o-niyāz meñ maiñ had-o-kamāñ se guzar gayā
na koī jahāñ se guzar sake ye vahāñ vahāñ se guzar gayā
tire ishq meñ dil-e-mubtalā har ik imtihāñ se guzar gayā
tire ishq-e-sīna-figār kā ye shu.ūr qābil-e-dād hai
vahī tiir dil se lagā liyā jo tirī kamāñ se guzar gayā
tire husn-e-sajda-navāz kā ye karam jabīn-e-niyāz par
ki mile haram hī haram mujhe maiñ jahāñ jahāñ se guzar gayā
mire nāsehā tirā shukriya mire haal par mujhe chhoḌ de
jo tirī zamīñ par muhīt hai maiñ us āsmāñ se guzar gayā
ye nizām bazm-e-hayāt kā abhī ḳhalfashār kī nazr thā
vo to shukr hai ki fasāna-ḳhvāñ mirī dāstāñ se guzar gayā
rahe qaid-o-band kī lazzateñ ki aziyyateñ bhī haiñ rāhateñ
maiñ qafas meñ aate hī sarhad-e-ġham-e-āshiyāñ se guzar gayā
na 'vaqār' dair se vāsta na haram se mujh ko koī ġharaz
kisī be-nishāñ kī talāsh meñ maiñ har ik nishāñ se guzar gayā
Top Urdushayar.com