Waqar Bijnori

gham-e-mohabbat hai kar-farma dua se pahle asar se pahle

Waqar Bijnori

Bijnor, Uttar pradesh, India

1906
ġham-e-mohabbat hai kār-farmā duā se pahle asar se pahle
batā rahī hai ye dil kī dhaḌkan vo aa rahe haiñ ḳhabar se pahle
ye kis ke gesū se maañg laa.ī nasīm nik.hat sahar se pahle
fazā-e-gulshan udaas sī thī shamīm-e-ambar-asar se pahle
bajā.e ḳhuuñ mai jhalak rahī hai hamārī rag rag se ab to saaqī
bahut hī be-kaif zindagī thī ḳhumār-āgīñ nazar se pahle
nazar nazar aks rū-e-jānāñ nafas nafas be-ḳhudī kā aalam
hijāb yuuñ darmiyāñ se uTThā nazar milī yuuñ nazar se pahle
ġhurūr vīrāniyoñ pe apnī abas bayābāñ ko is qadar hai
rivāj paayā hai ye tarīqa haqīqatan mere ghar se pahle
ye ahl-e-vahshat kā hausla hai ḳhizāñ pe qabza hai fasl-e-gul kā
vo baḌh ke sīna-sipar hue haiñ gumān-e-barq-o-sharar se pahle
nuqūsh-e-sajda pe aaj mere vo naqsh-e-pā sabt kar rahe haiñ
mire muqaddar kī yāvarī kā ye naqsh uTThā kidhar se pahle
kabhī tasavvur meñ aa.e bhī to ghanerī zulfoñ ko ruḳh pe Daale
hamārī qismat meñ shām-e-ġham thī numūd-e-nūr-e-sahar se pahle
jahāñ kī rañgīniyoñ se ab tak 'vaqār' bilkul hī be-ḳhabar the
asīr-e-jalva nazar thī apnī shu.ūr-e-zauq-e-nazar se pahle
Top Urdushayar.com