Waqar Bijnori

unki chashm-e-mast mein poshida ek mai-KHana tha

Waqar Bijnori

Bijnor, Uttar pradesh, India

1906
un kī chashm-e-mast meñ poshīda ik mai-ḳhāna thā
jaam thā sāġhar thā mai thī shīsha thā paimāna thā
kyā faqat merā hī ik chhalkā huā paimāna thā
jo bhī un kī bazm meñ thā hosh se begāna thā
iḳhtilāf-e-shakl ne dhokā nigāhoñ ko diyā
varna jo kuchh sham-e-sozāñ thī vahī parvāna thā
kis tarah chhuptā mirī TuuTī huī tauba kā raaz
ek maiñ tanhā na thā maiḳhāne kā mai-ḳhāna thā
yaad itnā rah gayā hai qissa-e-ahd-e-shabāb
ik ḳhumār-e-be-ḳhudī thā aap se begāna thā
zard chehra band lab āñkhoñ meñ aañsū dil pe haath
be-zabānī kī zabāñ thī aur mirā afsāna thā
husn kī duniyā ke saath un kī taraf duniyā-e-ishq
aur yahāñ dil hī na thā aur thā bhī to dīvāna thā
jis kī pāmālī meñ muzmar ābiyārī thī 'vaqār'
maiñ riyāz-e-dahr meñ vo sabza-e-begāna thā
Top Urdushayar.com