ishq meñ ḳhud-sarī nahīñ hotī
husn meñ bandagī nahīñ hotī
nāvak-afgan batā to de āḳhir
dard meñ kyuuñ kamī nahīñ hotī
rāz-e-ulfat kahāñ chhupā.eñ ham
dil se bhī dushmanī nahīñ hotī
vo mohabbat bhī kyā mohabbat hai
jis meñ dīvāngī nahīñ hotī
aah kar ke bhī ham ne dekh liyā
soz-e-ġham meñ kamī nahīñ hotī
mast āñkhoñ hī se pilā saaqī
jaam se be-ḳhudī nahīñ hotī
jab kabhī sāmne vo aate haiñ
ham se ik baat bhī nahīñ hotī
kyā kareñ aise ġham ko ham le kar
jis meñ un kī ḳhushī nahīñ hotī
kaisī taqdīr hai hamārī 'vaqār'
ġham hī ġham haiñ ḳhushī nahīñ hotī