tum ḳhafā kyā hue hayāt ga.ī
jaan taskīn-e-kā.enāt ga.ī
jab se murjhā ga.ī hai dil kī kalī
raunaq-e-gulshan-e-hayāt ga.ī
sāqiyā sirf apne apnoñ par
bas tirī chashm-e-iltifāt ga.ī
haa.e be-chārgī-e-fikr-o-nazar
vo bhī tā-hadd-e-mumkināt ga.ī
ek aañsū kī tarjumānī se
azmat-e-ġham kī saarī baat ga.ī
dard-e-dil meñ huī hai jab se kamī
kyā kaheñ lazzat-e-hayāt ga.ī
ham hī ham the kabhī nigāhoñ meñ
ab kahāñ hai vo pahlī baat ga.ī
chain ab bhī kahāñ hai dil ko 'vaqār'
be-qarārī meñ saarī baat ga.ī