Waqar Bijnori

ek ishaare mein badal jata hai maiKHane ka nam

Waqar Bijnori

Bijnor, Uttar pradesh, India

1906
ek ishāre meñ badal jaatā hai maiḳhāne kā naam
chashm-e-sāqī terī gardish se hai paimāne kā naam
pahle thā mauj-e-bahārāñ dil ke lahrāne kā naam
maskan-e-barq-e-tapāñ hai ab to kāshāne kā naam
aas jis kī ibtidā thī yaas jis kī intihā
ai dil-e-nākām kyā ho aise afsāne kā naam
rañg lā kar hī rahā āḳhir mohabbat kā asar
aaj to un kī zabāñ par bhī hai dīvāne kā naam
āsmāñ par barq gulshan meñ sabā dariyā meñ mauj
jis jagah dekho nayā hai zulf lahrāne kā naam
maut ho yā vo hoñ donoñ haiñ ilāj-e-dard-e-dil
vā-e-qismat ek bhī letā nahīñ aane kā naam
zulf-e-mushkīñ lāla-ruḳh gul-pairahan mast-e-bahār
mausam-e-gul hai tumhāre baam par aane kā naam
ishq kī tasvīr kā ye dūsrā ruḳh hai 'vaqār'
sham.a jaltī hai magar hotā hai parvāne kā naam
Top Urdushayar.com