kaun bhalā ye kahtā hai ḳhud aa ke ham ko manā.eñ aap
TuuTā dil ab kaise juḌegā sachchī qasmeñ na khā.īñ aap
patthar siine par rakh leñge jīte-jī jā.eñge
aap ko qātil kaun kahegā kyuuñ nāhaq ghabrā.eñ aap
rāh-e-vafā par chalte chalte apnī azmat bhuul ga.e the
chhoḌī ham ne rasm-e-parastish ab na karam farmā.eñ aap
sehr kiyā e.ajāz kiyā hai dard kā sho.ala barf banā hai
tark-e-mohabbat ham ko mubārak kyuuñ nāhaq pachhtā.eñ aap
josh-e-junūñ kā daur nahīñ hai dil ke sukūñ kā daur nahīñ hai
ġham hai nayā kaise kam hogā aa.eñ aap na aa.eñ aap
tishna-labī kuchh aur baḌhī hai mai-ḳhvārī kī dhuum machī hai
āḳhir ham se riñd-e-balā-kash kaise pyaas bujhā.eñ aap