Waqar Bijnori

wo nigah mil ke nigah se ba-ada-e-KHas jhijhak gai

Waqar Bijnori

Bijnor, Uttar pradesh, India

1906
vo nigāh mil ke nigāh se ba-adā-e-ḳhās jhijhak ga.ī
to ba-rañg-e-ḳhūñ mirī aarzū mirī chashm-e-tar se Tapak ga.ī
kabhī ashk ban ke Dhalak ga.ī kabhī rashk ban ke jhalak ga.ī
vo sharāb jām-e-hayāt se jo shabāb ban ke chhalak ga.ī
mirī āh-e-sā.iqa-bār jab mire tūr-e-dil pe chamak ga.ī
jo zamīñ se tā-ba-falak ga.ī to falak se tā-ba-samak ga.ī
maiñ zahe-nasīb ghirā huā huuñ tajalliyoñ ke hujūm meñ
ye shuā kis ke jamāl kī mirī zulmatoñ meñ chamak ga.ī
usī be-panāh-e-nigāh kā mujhe baar baar hadaf banā
ki dil aaj jhuum ke dil banā rag-e-jāñ bhī merī phaḌak ga.ī
pas-e-dafn bhī na sukūñ milā tah-e-ḳhāk hasrat-e-ishq ko
kabhī sabza ban ke lahak uThī kabhī phuul ban ke mahak ga.ī
tirī chashm-e-mast ne sāqiyā bhare mai-kade ko bhulā diyā
kabhī yaad ban ke baras ga.ī kabhī shīsha ban ke khanak ga.ī
koī kaash aa ke 'vaqār' ke bhī shikasta saaz ko chheḌ de
vo junūñ-navāz havā chalī vo qabā-e-ġhuncha masak ga.ī
Top Urdushayar.com