us ko jaate hue dekhā thā pukārā thā kahāñ
rokte kis tarah vo shaḳhs hamārā thā kahāñ
thī kahāñ rabt meñ us ke bhī kamī koī magar
maiñ use pyārā thā par jaan se pyārā thā kahāñ
be-sabab hī nahīñ murjhā.e the jazboñ ke gulāb
tū ne chhū kar ġham-e-hastī ko nikhārā thā kahāñ
biich mañjhdār meñ the is liye ham paar lage
Dūbne ke liye koī bhī kinārā thā kahāñ
āḳhir-e-shab mirī palkoñ pe sitāre the ka.ī
lekin aane kā tire koī ishārā thā kahāñ
ye tamannā thī ki ham us pe luTā deñ hastī
ai 'ziyā' us ko magar itnā gavārā thā kahāñ