Zia Zameer

jo rishton ki ajab si zimmedari sar pe rakkhi hai

Zia Zameer

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1977
jo rishtoñ kī ajab sī zimmedārī sar pe rakkhī hai
to ab dastār jaisī chiiz bhī Thokar pe rakkhī hai
tirī yādoñ kī paa.el sī khanaktī hai mire ghar meñ
mire kamre ke andar gūñjtī hai dar pe rakkhī hai
tumhāre jism ne pahlū-ba-pahlū jis ko likhā thā
vo silvaT jyuuñ kī tyuuñ ab bhī mire bistar pe rakkhī hai
tumhāre lams kī ḳhushbū abhī tak saath hai mere
mire takiye ke nīche hai mire bistar pe rakkhī hai
kahāñ kī be-qarārī bekalī aur kaisī bechainī
hathelī aap kī jab is dil-e-muztar pe rakkhī hai
ab is āshuftagī meñ kyā batā.eñ silsila apnā
kabhī jo ḳhāndānī thī sharāfat ghar pe rakkhī hai
kabhī ham us ko dil kā bojh samjhe haiñ na samjheñge
jo gaThrī zimmedārī kī hamāre sar pe rakkhī hai
Top Urdushayar.com