ham ne junūn-e-ishq meñ kufr zarā nahīñ kiyā
us se mohabbateñ to kiiñ us ko ḳhudā nahīñ kiyā
umr huī ki dekh kar niiñd uchaT ga.ī thī haañ
aañkh ne phir kabhī raqam ḳhvāb nayā nahīñ kiyā
tujh se kahā thā ḳhushbueñ us ke badan kī lā.iyo
merā ye kaam aaj tak tū ne sabā nahīñ kiyā
ham sā bhī is jahān meñ hogā na koī yarġhamāl
qaid se us kī aaj tak ḳhud ko rihā nahīñ kiyā
kaise kahūñ ki dostī tum ne nibāhī dosto
tum ne kured kar koī zaḳhm harā nahīñ kiyā
dekh to bandagī meñ bhī kaisā anā kā paas thā
laakh dukhoñ ke bāvajūd koī gila nahīñ kiyā
soch rakhā thā ishq se rañg bhareñge sher meñ
dil ne magar nahīñ kyā ishq 'ziyā' nahīñ kiyā