Zia Zameer

ye jo har lamha na rahat na sakun hai yun hai

Zia Zameer

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1977
ye jo har lamha na rāhat na sakūñ hai yuuñ hai
us ko paane kā ajab dil meñ junūñ hai yuuñ hai
ādatan kartā hai vo va.ada-ḳhilāfī pahle
phir banātā hai bahāne bhī ki yuuñ hai yuuñ hai
mujh ko ma.alūm hai lauT aa.egā merī jānib
us ke jaane pe bhī is dil meñ sukūñ hai yuuñ hai
dil kā khiñchnā jo ye jaarī hai faqat us kī taraf
us kī āñkhoñ meñ alag sā hī fusūñ hai yuuñ hai
pūchhte ho ki bhalā kyuuñ nahīñ māyūsī hai
us ke hoñToñ pe jo āhista sī huuñ hai yuuñ hai
be-sabab hai ye kahāñ dasht-navardī bhī 'ziyā'
apne zimme bhī koī kār-e-junūñ hai yuuñ hai
Top Urdushayar.com