Zia Zameer

ab to aate hain sabhi dil ko dukhane wale

Zia Zameer

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1977
ab to aate haiñ sabhī dil ko dukhāne vaale
jaane kis raah ga.e naaz uThāne vaale
ishq meñ pahle to bīmār banā dete haiñ
phir palaTte hī nahīñ rog lagāne vaale
kyā guzartī hai kisī par ye kahāñ sochte haiñ
kitne be-dard haiñ ye ruuTh ke jaane vaale
karb un kā ki jo fōt-pāth pe karte haiñ basar
kyā samajh pā.eñge ye rāj-gharāne vaale
laakh ta.avīz bane laakh duā.eñ bhī huiiñ
magar aa.e hī nahīñ jo na the aane vaale
tū bhī miltā hai to matlab se hī ab miltā hai
lag ga.e tujh ko bhī sab rog zamāne vaale
Top Urdushayar.com