zard patte the hameñ aur kyā kar jaanā thā
tez āñdhī thī muqābil so bikhar jaanā thā
vo na thā tark-e-ta.alluq pe pashemān to phir
tum ko bhī chāhiye ye thā ki mukar jaanā thā
kyuuñ bhalā kachche makānoñ kā tumheñ aayā ḳhayāl
tum to dariyā the tumheñ tez guzar jaanā thā
ishq meñ soch samajh kar nahīñ chalte sā.īñ
jis taraf us ne bulāyā thā udhar jaanā thā
tujh se hī TuuTā bharam rishtoñ kī mazbūtī kā
sar pe ilzām tire dīda-e-tar jaanā thā
ḳhud ko jab kar hī diyā thā tirī āñdhī ke supurd
phir ye kyā jaan ke karte ki kidhar jaanā thā
kyā ḳhabar thī ki yahāñ terī zarūrat hogī
ham ne to bas dar-o-dīvār ko ghar jaanā thā