jis tarah pyāsā koī āb-e-ravāñ tak pahuñche
DhūñDte DhūñDte ham is ke makāñ tak pahuñche
shart itnī thī mohabbat meñ badan tak pahuñcho
ham junūñ-pesha magar yaar kī jaañ tak pahuñche
terī chaukhaT pe palaT aa.e tire dīvāne
be-amāñ ya.anī usī jā-e-amāñ tak pahuñche
chal paḌe haiñ na.ī tahzīb ke raste ham log
paanī kab dekhiye ḳhatre ke nishāñ tak pahuñche
shab kī jaagī huī āñkhoñ kī tapish pūchhte ho
ḳhaak ho jaa.e agar ḳhvāb yahāñ tak pahuñche
ḳhair ham to vahīñ Thahre haiñ ki bichhḌe the jahāñ
qāfile vaalo batāo ki kahāñ tak pahuñche
kāsa-e-jism uThā laa.e tire shahr ke log
aur ye kahne lage ḳhema-e-jāñ tak pahuñche
ishq meñ ġhair yaqīnī nahīñ hotā kuchh bhī
baat kuchh bhī nahīñ bas aap gumāñ tak pahuñche