Zia Zameer

safar mujh par ajab barpa rahi hai

Zia Zameer

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1977
safar mujh par ajab barpā rahī hai
mirī vahshat mujhe chauñkā rahī hai
kahīñ se aa rahī hai terī ḳhushbū
udāsī duur hotī jā rahī hai
abhī tak ḳhud nahīñ samjhī hai jis ko
mujhe vo baat bhī samjhā rahī hai
amīroñ ke bache TukḌoñ ko chun kar
ġharībī bhuuk ko bahlā rahī hai
mubārak shaam kī aamad mubārak
kisī kī yaad le kar aa rahī hai
ga.ī shab aañkh meñ jo mar gayā thā
udāsī ḳhvāb vo sahlā rahī hai
bahut maġhrūr hai ye bādshāhī
hamāre ishq ko chunvā rahī hai
daraḳhtoñ par na.e zevar uge haiñ
zamīñ dulhan banī sharmā rahī hai
hamāre darmiyāñ alfāz gum haiñ
''ḳhamoshī uñgliyāñ chaTḳhā rahī''
bahut ummīd thī is zindagī se
magar ummīd ye murjhā rahī hai
'ziyā' jalva hai 'nāsir-kāzmī' kā
ġhazal ye ḳhud mujhe taḌpā rahī hai
Top Urdushayar.com