ye to hāthoñ kī lakīroñ meñ thā girdāb koī
itne se paanī meñ agar ho gayā ġharqāb koī
ġham ziyāda haiñ bahut āñkheñ haiñ sahrā sahrā
ab to aa jaa.e yahāñ ashkoñ kā sailāb koī
ishq kā faiz hai ye tū jo chahak uTThā hai
be-sabab itnā bhī hotā nahīñ shādāb koī
abr ban kar mujhe āġhosh meñ le aur samajh
kaise sahrā ko kyā kartā hai sairāb koī
tarbiyat diid kī dete haiñ jo haiñ lā.iq-e-dīd
ḳhud kahāñ jāntā hai diid ke ādāb koī
ye jo har dhuup ko lalkārtī rahtī hai sadā
kyā mire sar pe duāoñ kī hai mehrāb koī
kaisī tābīr kī hasrat ki 'ziyā' barsoñ se
nā-murād āñkhoñ ne dekhā hī nahīñ ḳhvāb koī