us kī ḳhvāhish pe na.e sher barābar kahnā
aur phir sun ke unheñ us kā mukarrar kahnā
ḳhushk āñkheñ liye hañstā huā dekho jis ko
us ko sahrā nahīñ kah denā samundar kahnā
kyā ajab hai ki ho beTe kī faqat haar pe haar
aur maañ kā use har baar sikandar kahnā
ye to ham haiñ baḌe dil vaale jo kah dete haiñ
varna āsān nahīñ apne se behtar kahnā
pahle ham 'mīr' ke qadmoñ ko zarā chuum aa.eñ
ba.ad meñ yaaro hameñ khul ke suḳhnavar kahnā
ishq ke māroñ ko kahnā nahīñ dekho kuchh bhī
aur agar kahnā hī chāho to qalandar kahnā