āḳhirash kar liyā qubūl hameñ
us ne bheje haiñ laal phuul hameñ
ek laḌkī kā ḳhvāb haiñ ham bhī
koī samjhe nahīñ fuzūl hameñ
is qadar yaad kar rahe ho tum
ya.anī jāoge tum bhī bhuul hameñ
ham haiñ ḳhushbū havā ke dosh pe haiñ
jald kar lījiye vasūl hameñ
muḳhtasar kījiye kahānī ko
aap to de rahe haiñ tuul hameñ
raah terī nahīñ takeñge ham
shart ye bhī tirī qubūl hameñ
aur kuchh rañg sher meñ aa.e
zindagī aur kar malūl hameñ