Zia Zameer

rahat-e-wasl bina hijr ki shiddat ke baghair

Zia Zameer

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1977

rāhat-e-vasl binā hijr shiddat ke baġhair

zindagī kaise basar hogī mohabbat ke baġhair

ab ke ye soch ke bīmār paḌe haiñ ki hameñ

Thiik honā nahīñ terī ayādat ke baġhair

ishq ke māroñ ko ādāb kahāñ aate haiñ

tere kūche meñ chale aa.e ijāzat ke baġhair

ham se pūchho to ki ham kaise haiñ ai ham-vatano

apne yāroñ ke binā apnī mohabbat ke baġhair

mulk to mulk gharoñ par bhī hai qabza us

ab to ghar bhī nahīñ chalte haiñ siyāsat ke baġhair

aks kis ye utar aayā hai ā.īne meñ

kaun ye dekh rahā hai mujhe hairat ke baġhair

hāsil-e-ishq agar kuchh hai to vahshat hai 'ziyā'

aur insān mukammal nahīñ vahshat ke baġhair

Top Urdushayar.com