dard kī dhuup Dhale ġham ke zamāne jaa.eñ
dekhiye ruuh se kab daaġh purāne jaa.eñ
ham ko bas terī hī chaukhaT pe paḌe rahnā hai
tujh se bichhḌeñ na kisī aur Thikāne jaa.eñ
apnī dīvār-e-anā aap hī kar ke mismār
apne rūThoñ ko chalo aaj manāne jaa.eñ
jaane kyā raaz chhupā hai tirī sālārī meñ
tū jahāñ jaa.e tire pīchhe zamāne jaa.eñ
raheñ gumnām to bas tujh se hī mansūb raheñ
jaane jaa.eñ to tire naam se jaane jaa.eñ
dekh pā.eñge un āñkhoñ meñ udāsī kaise
apne dukhḌe na 'ziyā' un ko sunāne jaa.eñ