duur bhī jaate hue paas bhī aate hue ham
bhūlte bhūlte kuchh yaad dilāte hue ham
niiñd kā is ko nasha ham ko jagāne kī havas
ḳhvāb meñ aate hue niiñd churāte hue ham
pahle rote hue apnī hī nigahbānī meñ
aur be-sāḳhta phir ḳhud ko hañsāte hue ham
pichhlī shab poñchhte āñkhoñ se purāne sabhī ḳhvāb
aglī shab ḳhvāboñ kā ambār lagāte hue ham
chāragar bante hue apnī hī vīrānī meñ
pahlī bārish meñ akele hī nahāte hue ham
ḳhuun armānoñ kā karte hue ḳhāmoshī se
aur phir ḳhuun ko āñkhoñ meñ chhupāte hue ham
apnī jholī meñ kisī jiit kā nashsha sā liye
us ke kūche se 'ziyā' haar ke jaate hue haiñ ham