hañste hañste bhī sogvār haiñ ham
zindagī kis ke qarz-dār haiñ ham
ruuh par jism kā labāda hai
is liye hī to sāya-dār haiñ ham
us ne dekhā kuchh is adā se hameñ
ham ye samjhe ki shāhkār haiñ ham
ham ko itnā girā paḌā na samajh
ai zamāne kisī kā pyaar haiñ ham
aaj tak ye samajh nahīñ aayā
jiit haiñ kis kī kis kī haar haiñ ham
ho kabhī vaqt to ziyārat kar
ai mohabbat tirā mazār haiñ ham