jaañ kā dushman hai magar jaan se pyārā bhī hai
aisā is ahd meñ ik shaḳhs hamārā bhī hai
jāgtī āñkhoñ ne dekhe haiñ tire ḳhvāb ai jaañ
aur nīndoñ meñ tirā naam pukārā bhī hai
vo burā vaqt ki jab saath na ho saaya bhī
ham ne hañs hañs ke ka.ī baar guzārā bhī hai
jis ne mañjdhār meñ chhoḌā use ma.alūm nahīñ
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā bhī hai
mat luTā denā zamāne pe hī saarī ḳhairāt
muntazir haath meñ kashkol hamārā bhī hai
naam sun kar mirā us lab pe tabassum hai 'ziyā'
aur palkoñ pe utar aayā sitāra bhī hai