Zia Zameer

gham ka dariya sukh na jae uski rawani kam na paDe

Zia Zameer

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1977
ġham kā dariyā suukh na jaa.e us kī ravānī kam na paḌe
ḳhūn-e-jigar bhī shāmil kar luuñ aañkh meñ paanī kam na paḌe
us ke badan kī ḳhushbū kā kuchh toḌ nikālo aaj kī raat
aur koī ḳhushbū le aao rāt-kī-rānī kam na paḌe
sāl-do-sāl kī baat nahīñ hai umr bahut darkār hai haañ
soch rahā huuñ ishq kī ḳhātir ahd-e-javānī kam paḌe
ā.īne kā dil nahīñ TuuTe us kā bharam ābād rahe
chehre par kuchh aur baḌhāo ye hairānī kam na paḌe
kār-e-jahāñ meñ apnī vus.at se ye ḳhud hairān sā hai
ādam-zād ko mere maulā ālam-e-fānī kam na paḌe
dard ke saare hī qissoñ kī yād-dahānī kar lenā
hijr kī raat bahut lambī hai ek kahānī kam na paḌe
raaz bahut se aise bhī haiñ jo us ko ma.alūm nahīñ
mere yaar kī sohbat tujh ko dushman-e-jānī kam na paḌe
Top Urdushayar.com