ḳhaak the kahkashāñ ke the hī nahīñ
ham kisī āsmāñ ke the hī nahīñ
us ne aisā kiyā nazar-andāz
jaise ham dāstāñ ke the hī nahīñ
tum ne jo bhī savāl ham se kiye
vo savāl imtihāñ ke the hī nahīñ
chhoḌ kar jo chale ga.e us ko
haañ vo hindostāñ ke the hī nahīñ
itnī jaldī jo bhar ga.e haiñ zaḳhm
jism ke the ye jaañ ke the hī nahīñ
sher dil meñ utar nahīñ paa.e
kyūñki dil kī zabāñ ke the hī nahīñ
mas.ala thā to bas anā kā thā
fāsle darmiyāñ ke the hī nahīñ