Zia Zameer

bahut jumud hai tari koi KHayal zara

Zia Zameer

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1977
bahut jumūd hai taarī koī ḳhayāl zarā
nayā sā lafz mirī ḳhaak par uchhāl zarā
vo tū hī hai ki maiñ bikhrā huuñ sāmne jis ke
tū kam-nasīb nahīñ hai mujhe sambhāl zarā
bichhaḌte vaqt ye ḳhvāhish kahāñ thī nā-jā.ez
use bhī hotā hamārī tarah malāl zarā
nahīñ jo māntā ḳhud ko ki be-misāl hai tū
tū apne jaisī dikhā de koī misāl zarā
hañsī meñ Taal de phir se hamārī har ḳhvāhish
phir ek baar thapak de hamārā gaal zarā
maiñ ḳhud ko raakh na kar duuñ ye Dar satātā hai
hisār-e-jism se bāhar mujhe nikāl zarā
Top Urdushayar.com