dard kī shāḳh pe ik taaza samar aa gayā hai
kis kī aamad hai 'ziyā' kaun nazar aa gayā hai
jaane kis jurm kī paa.ī hai sazā pairoñ ne
ik safar ḳhatm pe hai aglā safar aa gayā hai
lahr ḳhud par hai pashemān ki us kī zad meñ
nanhe hāthoñ se banā ret kā ghar aa gayā hai
dard bhī sahnā tabassum bhī laboñ par rakhnā
marhabā ishq hameñ bhī ye hunar aa gayā hai
aa gayā us kī buzurgī kā ḳhayāl āñdhī ko
ve jo ik raah meñ bosīda shajar aa gayā hai
us kī āñkhoñ meñ nahīñ pahlī sī chāhat lekin
ye bhī kyā kam hai ki ve lauT ke ghar aa gayā hai
apnī mahrūmī pe hone hī lagā thā māyūs
dekhtā kyā huuñ duāoñ meñ asar aa gayā hai
zindagī rok ke aksar yahī kahtī hai mujhe
tujh ko jaanā thā kidhar aur kidhar aa gayā hai
haq parastoñ ke liye sabr kā lamha hai 'ziyā'
jhuuT ke neze pe sachchā.ī kā sar aa gayā hai