Tahseen Firaqi

ise main aur ye mera asa hi tai karega

Tahseen Firaqi

Basir Pur, Pakistan

1950
ise maiñ aur ye merā asā hī tai karegā
ye rāh-e-ishq mirā hausla hī tai karegā
shab-e-siyāh ke dāman meñ haiñ guhar kyā kiyā
nasīb vāle! tirā ratjagā hī tai karegā
samundaroñ se mah-e-chār-dah kā khel hai kyā
koī khilāḌī koī mah-laqā hī tai karegā
hamārā dil hai kisī kaam kā ki nākāra
ye amr aaj ki kal dil-rubā hī tai karegā
haiñ shīsha-kash hameñ kyā kaam kār-e-duniyā se
ye rāh-e-saḳht koī dūsrā hī tai karegā
ilaaj un kaa, jo haiñ is zamīñ kā bojh, miyāñ!
koī ḳharosh koī zalzala hī tai karegā
jo hāl-mast haiñ gam-karda-rāh bhī unheñ kyā
ki road-map koī dūsrā hī tai karegā
bajā.e ḳhvāj-gāñ masnad-nashīñ hoñ ḳhvāja-sarā
to mas.ala koī ḳhvāja-sarā hī tai karegā
ilaaj kyā ho shaġhāloñ kā bad-sagāloñ kā
ye sher-e-nar kā koī hamhama hī tai karegā
tamām shahr kī jab be-hisī ho sikka-e-vaqt
to mol-tol koī masḳhara hī tai karegā
ye tai huā hai ki sher o adab ke paimāne
hamāre shahr kā ik yak-fanā hī tai karegā
mujhe halāk kiyā kis ne aur kyuuñ kis vaqt
ye sab muāmlā roz-e-jazā hī tai karegā
Top Urdushayar.com