zamīñ Thahar na sakī aur na āsmāñ Thahrā
mirā hī zauq-e-junūñ merā pāsbāñ Thahrā
lagā.ī jis ke liye taḳht-o-tāj ko Thokar
usī kī bazm meñ maiñ misl-e-dāstāñ Thahrā
hamārā naqsh-e-qadam hai vahāñ vahāñ raushan
vafā kī raah meñ thak kar jahāñ jahāñ Thahrā
lipaT ke dāman-e-gul se kahā ye bulbul ne
nigāh-e-barq meñ merā hī āshiyāñ Thahrā
paḌhā sabhī ne use par samajh sakā na koī
kitāb-e-zīst kā har harf rā.egāñ Thahrā
junūn-e-ishq meñ kuchh bhī ḳhabar nahīñ mujh ko
na jaane kaun sī manzil pe kārvāñ Thahrā
maiñ jis ko ġhair samajhtā rahā sadā 'hassān'
har ek raaz kā mere vo rāzdāñ Thahrā