bekasī meñ jo yaad ghar aayā
aañkh ke saath dil bhī bhar aayā
merī manzil na terā ghar aayā
mere hisse meñ bas safar aayā
ik parī-vash ḳhayāl par aayā
ek saaya sā mujh meñ dar aayā
maiñ ne bai.at se kar diyā inkār
ab ke neze pe merā sar aayā
zindagī jab zavāl par aa.ī
fan mirā tab uruuj par aayā
ḳhūn-e-dil se idhar ġhazal likkhī
naqsh terā udhar ubhar aayā
shīsh-mahloñ ke bhī muqaddar meñ
āḳhirash dekhiye khañDar aayā
ḳhud-kalāmī masīh-e-jān banī
koī monis na chāragar aayā
ek bas dil hī thā mirā apnā
jo tire rāste meñ dhar aayā
kab milā mujh ko sañg-e-mīl tirā
maiñ har ik raah se guzar aayā
dar thā ummīd kā khulā 'hassān'
sub.h kā bhūlā shaam ghar aayā