vallāh in shahīdoñ kā me.aar dekh kar
hai marg-e-shauq aur sivā daar dekh kar
un par bhī khul sakā na ufuq kā tilismī raaz
hairān-kun karishma-e-fankār dekh kar
shorīdgī-e-ābla-pā.ī ke bāvajūd
jazbe na kam hue rah-e-pur-ḳhār dekh kar
is mājrā-e-lutf pe pahroñ sukūt-e-shab
hairāñ thā ḳhud ko apnā hī ġham-ḳhvār dekh kar
dāman chhuḌā na paa.e dam-e-sair apnā ham
kāñToñ kī anjuman kā bhī isrār dekh kar
patthar tarāshne kā hunar jāntā thā maiñ
par chup thā but-parast ḳharīdār dekh kar
'hassān' sīkho aur zarā shā.irī kā fan
'ġhālib' 'jigar' 'firāq' ke ash.ār dekh kar