Sikandar Hayat Khayal

jalne mein kya lutf hai ye to puchho tum parwane se

Sikandar Hayat Khayal

jalne meñ kyā lutf hai ye to pūchho tum parvāne se
dīvāna-pan kyā shai hai ye raaz mile dīvāne se
naav bhañvar meñ aa.ī hai ab bachnā huā muhāl bahut
jo honā hai so hogā kyā hogā jī bahlāne se
gar is saarī umr meñ ek bhī lamha nahīñ masarrat kā
kaise soch leñ ho jā.eñge ḳhatm ye dukh mar jaane se
ab bhī bharā nahīñ hai tumhārā jī to kar lo aur sitam
dil to baaz nahīñ aane vaalā hai aise satāne se
kitnī baar kahā logoñ ne 'ḳhayāl' bhalā de zālim ko
kaash ki pagle log ye socheñ bhūlā hai koī bhulāne se
Top Urdushayar.com