falak pe shaam Dhale jo chamakne lagte haiñ
vo terī āñkhoñ meñ aa kar damakne lagte haiñ
sukūt-e-shab maiñ tirā naam jab bhī letā huuñ
sahīfe ishq ke dil par utarne lagte haiñ
ġhamoñ kī kaalī ghaTāoñ ko chiir kar jānāñ
tirī tajallī ke sūraj dahakne lagte haiñ
chaman chaman meñ khile phuul le ke naam tirā
tasavvurāt ke gulshan mahakne lagte haiñ
tirī sadāoñ ke ghuñghrū fazā meñ yuuñ chhanke
ki jaise baaġh meñ bulbul chahakne lagte haiñ
tū be-irāda bhī jab zulf apnī jhaTkā.e
sulagte dasht pe bādal barasne lagte haiñ
tū jaan toḌ ke letī hai jab bhī añgḌā.ī
ḳhutūt-e-jism ḳhalā meñ ubharne lagte lagte haiñ
tire junūñ kā bhī 'ejāz' kyā mudāvā ho
ki chhīl lete ho jab zaḳhm bharne lagte haiñ