Tahseen Firaqi

mah-o-anjum ne qaba ki to tumhaare liye ki

Tahseen Firaqi

Basir Pur, Pakistan

1950
mah-o-anjum ne qabā kī to tumhāre liye kī
chāñd chehroñ pe ridā kī to tumhāre liye kī
vo bhī thā mauj meñ ye dil bhī bahakne hī ko thā
apne hāthoñ ne hayā kī to tumhāre liye kī
koh-o-sahrā meñ bhaTakte sar-e-sāhil phirte
maiñ ne har gaam sadā kī to tumhāre liye kī
dil ke is tapte hue tund bayābāñ ke biich
maiñ ne ik nahr banā kī to tumhāre liye kī
mujh se thā barsar-e-kīñ rabt-e-nihāñ tum se thā
dil ne gar tum se vafā kī to tumhāre liye kī
raat mavvāj thī jab haath uThe us ke huzūr
sab se pahle jo duā kī to tumhāre liye kī
maiñ kahāñ aur kahāñ shā.erī maiñ ne to faqat
majlis-e-sher bapā kī to tumhāre liye kī
Top Urdushayar.com