Sabir Zafar

Dubta hun jo haTata hun nazar pani se

Sabir Zafar

1949
Dūbtā huuñ jo haTātā huuñ nazar paanī se
aur taktā huuñ to chakrātā hai sar paanī se
chāñd bhī ab nikal aayā ufuq-e-āb ke paar
mere ġharqāb badan tū bhī ubhar paanī se
nāma-bar koī nahīñ hai to kisī lahr ke haath
bhej sāhil kī taraf apnī ḳhabar paanī se
ye bhī kyā kam hai ki Tiile to hue kuchh hamvār
bantī jaatī hai na.ī rāhguzar paanī se
nahīñ ma.alūm ki bah jā.ūñ maiñ kab ḳhas kī tarah
yuuñ to mahfūz abhī tak huuñ 'zafar' paanī se
Top Urdushayar.com