Tahseen Firaqi

chaman itna KHizan-asar pahle kab hua tha

Tahseen Firaqi

Basir Pur, Pakistan

1950
chaman itnā ḳhizāñ-āsār pahle kab huā thā
balā kā qaht-e-barg-o-bār pahle kab huā thā
havādis aur maiñ bachpan se go laḌ-bhiḌ rahe the
havādis kā ye gahrā vaar pahle kab huā thā
maiñ jin galiyoñ meñ paiham barsar-e-gardish rahā huuñ
maiñ un galiyoñ meñ itnā ḳhaar pahle kab huā thā
maiñ bīmār-e-mohabbat yuuñ to pahle bhī rahā huuñ
magar is zor kā bīmār pahle kab huā thā
sadā ''nā naa'' kī yuuñ to gosh-zad hotī rahī hai
lab-e-la.alīñ se saaf inkār pahle kab huā thā
tirā lahja thā jānāñ shiir o shabnam se ibārat
tirā lahja abhī talvār pahle kab huā thā
salīb-o-dār pahle bhī bahut vāfir nahīñ the
magar qaht-e-salīb-o-dār pahle kab huā thā
miyāñ-'tahsīñ' tirī rindī kī sun-gun thī hameñ bhī
magar aisā khulā iqrār pahle kab huā thā
Top Urdushayar.com