mujh sā anjān kisī moḌ pe kho saktā hai
hādsa koī bhī is shahr meñ ho saktā hai
sat.h-e-dariyā kā ye saffāk sukūñ hai dhokā
ye tirī naav kisī vaqt Dubo saktā hai
ḳhud kuaañ chal ke kare tishna-dahānoñ ko ġharīq
aisā mumkin hai mirī jaan ye ho saktā hai
be-tarah gūñjtā hai ruuh ke sannāTe meñ
aise sahrā meñ musāfir kahāñ so saktā hai
qatl se haath uThātā nahīñ qātil na sahī
ḳhuun se luThḌe hue haath to dho saktā hai
jhuum kar uThtā nahīñ khul ke barasnā kaisā
kaisā bādal hai ki hañstā hai na ro saktā hai
juz mire rishta-e-anfās-e-girah-gīr meñ kaun
guhar-e-ashk-e-sharar-bār piro saktā hai