Tahseen Firaqi

teri gali mein gae kitne mah o sal hue

Tahseen Firaqi

Basir Pur, Pakistan

1950
tirī galī meñ ga.e kitne maah o saal hue
guzar ga.e ka.ī mausam hameñ bahāl hue
zabāñ meñ thī abhī luknat ki harf-e-ishq kahā
laḌakpanā thā ki zanjīr-e-ḳhadd-o-ḳhāl hue
maiñ muskurātā rahā aur muskurātā rahā
savāl mujh pe ka.ī mere hasb-e-hāl hue
nahīñ ki kohkan o qais kā zamāna nahīñ
magar ye baat ki ye log ḳhaal ḳhaal hue
Thahar gayā savā neze pe aan kar sūraj
guzar ga.iiñ ka.ī sadiyāñ hameñ zavāl hue
phir us kī yaad ne dastak dil-e-hazīñ par dī
phir āñsuoñ meñ nihāñ us ke ḳhad-o-ḳhāl hue
misāl-e-naqsh-e-kaf-e-pā na uTh sake 'tahsīñ'
ba-rañg-e-sabza ham is darja pā.emāl hue
Top Urdushayar.com