Masood Hasan

jal rahi thi ek diye mein raat KHeme se alag

Masood Hasan

jal rahī thī ik diye meñ raat ḳheme se alag
tāpte the do parinde haat ḳheme se alag
muñd rahī thiiñ niiñd se āñkheñ shikasta taaq meñ
paḌh rahī thī raushnī taurāt ḳheme se alag
ik ThaThurtī raat ātish-dān meñ bujhtā badan
maiñ alag thā aur merī zaat ḳheme se alag
ug rahe the mere hoñToñ se muqaddas harf-o-saut
paḌh rahā thā maiñ nabī kī na.at ḳheme se alag
bun rahā thā maiñ gire pattoñ se mausam kā libās
us ne likkhā thā ki manzar kaat ḳheme se alag
Top Urdushayar.com