Swapnil Tiwari

wo jahan hain wahin KHayal mera

Swapnil Tiwari

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1984
vo jahāñ haiñ vahīñ ḳhayāl mirā
mustaqil ho gayā visāl mirā
pyaar se dekhā phir mujhe us ne
phir se ohda huā bahāl mirā
vo jo pāgal thā ab vo kaisā hai
aaise vo pūchhtā hai haal mirā
apnī yādoñ kī raushnī kam kar
is ne sonā kiyā muhāl mirā
maiñ hī ā.ūñgā apne raste meñ
mere bhītar se Dar nikāl mirā
saath mere ghasiTtā hai pal pal
thak ke saaya huā niDhāl mirā
is amāvas meñ phir se tanhā huuñ
chāñd hai gar sharīk-e-hāl mirā
TūTnā hai javāb meñ tum ko
aaj kuchh saḳht hai savāl mirā
taaki tū rah sake ḳhudā mujh meñ
mujh se aaseb ab nikāl mirā
aayā pal bhar ko sar pe saaya phir
dhuup ko aa gayā ḳhayāl mirā
tū mujhe aazmā na aur 'ātish'
terā jalnā bhī hai kamāl mirā
Top Urdushayar.com