Tahseen Firaqi

bahut se sail-e-hawadis ki zad pe bah gae hain

Tahseen Firaqi

Basir Pur, Pakistan

1950

bahut se sail-e-havādis zad pe bah ga.e haiñ

ye chand ek daraḳhtān-e-sabz rah ga.e haiñ

makīn dasht ke fil-faur dasht chhoḌ ga.e

ki sher-zād ḳhamoshī se vaar sah ga.e haiñ

zamīn bāñjh hai nāzād ho ga.e khaliyān

agarche sub.h o masā baar baar gah ga.e haiñ

parindgāñ! tumheñ kuchh bhī ḳhabar na ho paa.ī

daraḳht Dhe ga.e ambār-e-āb bah ga.e haiñ

bahār ab ke jo guzrī to phir na aa.egī

bichhaḌne vaale bichhaḌte samay ye kah ga.e haiñ

Top Urdushayar.com