Swapnil Tiwari

dhire dhire Dhalte suraj ka safar mera bhi hai

Swapnil Tiwari

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1984
dhīre dhīre Dhalte sūraj kā safar merā bhī hai
shaam batlātī hai mujh ko ek ghar merā bhī hai
jis nadī kā tū kināra hai usī kā maiñ bhī huuñ
tere hisse meñ jo hai vo hī bhañvar merā bhī hai
ek pagDanDī chalī jañgal meñ bas ye soch kar
dasht ke us paar shāyad ek ghar merā bhī hai
phūTte hī ek ankur ne daraḳhtoñ se kahā
āsmāñ ik chāhiye mujh ko ki sar merā bhī hai
aaj bedārī mujhe shab bhar ye samjhātī rahī
ik zarā sā haq tumhāre ḳhvāboñ par merā bhī hai
mere ashkoñ meñ chhupī thī svātī kī ik buuñd bhī
is samundar meñ kahīñ par ik guhar merā bhī hai
shāḳh par shab kī lage is chāñd meñ hai dhuup jo
vo mirī ā.ankhoñ kī hai so vo samar merā bhī hai
tū jahāñ par ḳhaak uḌāne jā rahā hai ai junūñ
haañ unhīñ vīrāniyoñ meñ ik khañDar merā bhī hai
jaan jaate haiñ patā 'ātish' dhueñ se sab mirā
sochtā rahtā huuñ kyā koī mafar merā bhī hai
Top Urdushayar.com