kiran ik mo.ajiza sā kar ga.ī hai
dhanak kamre meñ mere bhar ga.ī hai
uchak kar dekhtī thī niiñd tum ko
lo ye āñkhoñ se gir kar mar ga.ī hai
ḳhamoshī chhup rahī hai ab sadā se
ye bachchī ajnabī se Dar ga.ī hai
khule milte haiñ mujh ko dar hamesha
mire hāthoñ meñ dastak bhar ga.ī hai
use kuchh ashk laane ko kahā thā
kahāñ jā kar udāsī mar ga.ī hai
ujāloñ meñ chhupī thī ek laḌkī
falak kā rañg-roġhan kar ga.ī hai
vo phir ubhregī thoḌī saañs bharne
nadī meñ lahar jo andar ga.ī hai