aisī achchhī sūrat niklī paanī kī
āñkheñ pīchhe chhūT ga.iiñ sailānī kī
carrom ho shatranj ho yā phir ishq hī ho
khel koī ho ham ne be-īmānī kī
qaid huī haiñ āñkheñ ḳhvāb jazīre par
pā kar ek sazā sī kaale paanī kī
dīvāroñ par chāñd sitāre raushan haiñ
bachchoñ ne dekho to kyā shaitānī kī
chāñd kī golī raat ne khā hī lī āḳhir
pahle to shaitān ne ānā-kānī kī
jalte diye sā ik bosa rakh kar us ne
chamak baḌhā dī hai merī peshānī kī
maiñ us kī ā.ankhoñ ke pīchhe bhāgā thā
jab afvāh uḌī thī un meñ paanī kī