din ke pahle pahr meñ hī apnā bistar chhoḌ kar
raushnī niklī hai niiñd apnī falak par chhoḌ kar
vo musavvir-dar-musavvir kho rahī hai apne rañg
ik dhanak bhaTkī hai kitnā apnā ambar chhoḌ kar
vaqt hai ab bhī manā luuñ chal ke us ko ek din
ghar nikal jā.egā varna ek din ghar chhoḌ kar
āñsūo thoḌī madad mujh ko tumhārī chāhiye
ġham chale jā.eñge varna dil ko banjar chhoḌ kar
ḳhvāb āñkheñ chhoḌ kar kahiye kahāñ jā.eñge ab
silvaTeñ kyā mar nahīñ jā.eñgī chādar chhoḌ kar
lahr ban kar us ne thoḌī duur tak pīchhā kiyā
jā rahā thā apnā dariyā ik shanāvar chhoḌ kar
jal uTheñge paañv 'ātish' un ke chhūte hī zamīñ
ḳhvāb gar utre mirī āñkhoñ kā bistar chhoḌ kar