ye kitāboñ sī jo hathelī hai
sab se mushkil yahī pahelī hai
merī ham umr hai ye tanhā.ī
saath bachpan se mere khelī hai
hañstī rahtī hai ek khiḌkī par
apnī dīvār meñ akelī hai
khul rahī hai ye baat ham par bhī
zindagī ik kaThin pahelī hai
ek rauzan se chhan ke aa to ga.ī
ghar meñ lekin kiran akelī hai
narm-o-nāzuk sī ḳhūb-sūrat sī
zindagī pyaar kī hathelī hai
shukriya un sabhī ko ki 'ātish'
aañch jis ne bhī terī jhelī hai