tere milne kā āḳhirī imkān
jaise mujh meñ hai ek naḳhlistān
ghar meñ lagtā nahīñ hai jī merā
dasht meñ rah gayā mirā sāmān
ret meñ sīpiyāñ milī haiñ mujhe
kyā samundar thā pahle registān
lauTe shāyad isī bahāne vo
rakh liyā maiñ ne us kā kuchh sāmān
tū tire ird-gird hī hai kahīñ
har taraf DhūñDh har jagah ko chhān
duur tak koī bhī nahīñ dil meñ
āḳhirī shahr bhī milā vīrān
kis ne phūñkī hai jism meñ sāñseñ
kis ne chheḌī hai zindagī kī taan
ḳhaak ho jā.egā badan 'ātish'
hoñge ik din dhuāñ ye jism o jaan